Page Nav

HIDE

Grid

GRID_STYLE
TRUE

Left Sidebar

False

Breaking News

latest

Khouf e Ilahi - Fear of God

Khouf-E-ilahi Bohut Badi Dain Hai Har Sache Musalman Ka Dil Iski Aarzo Karta Hai Aur Usske Wasiley Se Apni Islah Karta Hai Quraan Wo Sunna...





Khouf-E-ilahi Bohut Badi Dain Hai

Har Sache Musalman Ka Dil Iski Aarzo Karta Hai Aur Usske Wasiley Se Apni Islah Karta Hai

Quraan Wo Sunnat Ko Thaam Lo


Jo Shaqs Quran Woh Sunnat Ko Thaam leta Hai Aur Rahman Ke Zikr Par Khouf-E-ilahi Ki Wajhe Se Uski Aansoo Beh Nikalte Hain


Usse Jahanum Ki Aag nahi Chu Sakti Aur Jo Shaqs Seerat Mustaqeem Par Chalta Hai


Aur Zikr Ilahi Ke Waqt Khouf-E-ilahi Se Uske Rounghte Khade Hojate Hain


Usski Misaal Uss Darqt Jaisi Hai

Jiske Patte Khushk Hochuke Ho

Jab Teez Hawa Chalti Hai

Toh Usske Saare Patte

Jhadd Jaate Hain


Isi Tarah Uss Shaqs Ke Gunah Allah ke Khouf Ke Ba'as Jhadd Jaate Hain


Khouf-E-ilahi Ka Bohut Bada Ajr Woh Sawab Hai


Apne Wazan Ke Barabar Sona Sadqa Wo Qairaat Karne Ke Nisbat


Allah ke Khouf Se Iss Tarah Rona Behtar Hai

Ke Aansoo Ruqsaaroun Par Behne Lage

Uss Zaat Ki Qasam Jiske Hath Me Hum Sab Ki Jaan Hai

Jo Musalmaan Allah ke Khouf Se Rota Hai

Yahan Tak Ke Usske Aansoo Ke Chand Qatre Zameen Par Girr Padte Hain Toh Usse Jahanum Ki Aag Kabhi Nahi Chuegi

Allah Talah Ke Bargazedah Bande Janab Waheeb Bin Wardd Farmate Hain

Khouf-E-ilahi ki Misaal Uss Shaqs jaisi Hai

Jo Apne Ghar Me Moujood Ho

jab Tak Woh Apne Ghar Me Rehta Hai

Uska Ghar Abaad Rehta Hai

Laikin Maalik Jab Apne Ghar Se Juda Hojata Hai

Aur Usse Chordkar Chala Jaata Hai

Toh Ghar Veeran Wo Barbaad Hojata Hai

Yahi Misaal Allah Ke Khouff Ki Bhi Hai

Khouff-E-ilahi Jab Tak Kisi Ke Wajood Me Baaqi Rehta Hai

Woh Jism Abaad Rehta Hai

Aur Jab Khouff-E-ilahi Jism Se Ruqsat Hojata Hai

Toh Jism Kharab Hojata Hai

Aisa Shaqs Jab Logoun Ki Majlis Ke Paas Se Guzarta Hai Toh Woh Kehte Hain

Yeh Bohut Bura Aadmi Hai

Isspar Ahl-E-Majlis Ek Doosre Se Puchte Hain

Tum Ne Issme Kya BuraYi Dekhi Hai ??

Toh Sab Jawab Dete Hain

Humne Ussme Koi Burayi Toh Nahi Dekhi Laikin Hume Iss Se Nafrat Hai....

Hum Usse Pasand Nahi Karte

Aisa Isliye Hota Hai Ki Khouff E ilahi Usske Dil Se Nikal Chuka Hota Hai...........

Aur Jab Koi Aisa Shaqs Logoun Ke Paas Se Guzarta Hai Jiske Dil Khouff E ilahi Se Munnawarr Hota Hai Toh Kehte Hain

Yeh Shaqs Bohut Acha Hai

Log Puchte Hain Tum Ne Ussme Kounsi Khoobi Dekhi ????

Isspar Jawab Milta Hai...

Ke Humne Ussme Koi Khoobi Toh Nahi Dekhi

Magar Hume Uss Se Mohabbat Hai............